Episodios

  • Krodh se Shanti ki Aur

    Krodh se Shanti ki Aur

    Anand Ki Aur, Episode 1
    Sep 18 2020
    Krodh ke saar ko samjhiye. Kaha se aata hai krodh, kya yeh humaare adhoori icchayo se janam leta hai ya humari poornta ki apekhsha se. Apne krodh ko kabu mein laaye par yeh matt smjhe ke krodh hamesha galat hota hai. Janiye aap kaise kisi priye ke gusse ko sambhal skte hai. Sikhiya kuch nuskhe jo apko apke krodh ko sambhalne mein and apko shanti ki aur le jane mein sahayeta karenge. Janiye ke krodh kahan uchit hai, kahan anuchit. Ek neerav jeevan ki aur badhe.
    Más Menos
    19 mins
  • Anand: Ek Prakritik Bhavna

    Anand: Ek Prakritik Bhavna

    Anand Ki Aur, Episode 2
    Sep 18 2020
    Humein lagta hai ke anand kabhi zindagi mein rehta hai ton kabhi nahi. Parantu kya waqai aisa hai? Sikhiye woh tarike jinse aap anand ko prapt kr skte hai aur usko apne jeevan mein banaye rakh skte hai. Kya koi sambandh hai khush prasannta ka anubhav karne aur dusre ko prassanta dene mein? Kya aap jante hai ke anand shishu annad bhi ho skta hai aur paripakva bhi. Janiye che asaan tareeke anandamey jeevan ke!
    Más Menos
    16 mins
  • Ek Bhavnaayo ka Trikon: Bhay, Prem aur Ghrina
    Sep 18 2020
    Anischitta ka aabhas, bhay ko janam deta hai. Par bhay kya hai aur hamare shareer mein iska aabhas kahan hota hai. Prem aur ghrina se bhay ka kya sambandh hai? Maano jaise ek trikon ho. Janiye kaunsa chakra juda hai inn bhavnaayo se. Sikhiye ek anishchit waqt mein aap kaise bhay se juj skte hai, visheshtah iss virus ke samein pr. Kya hum bhay ka upyog kar apni buri aadaton ko uchit parinamo mein badal skte hai? Janiye apko kya kadam lene chanhiye iss parivartan ke liye. Parivaartan chain ki aur!
    Más Menos
    16 mins
  • Khushiyon ki Taraaf

    Khushiyon ki Taraaf

    Anand Ki Aur, Episode 4
    Sep 18 2020
    Kasht aur dukh kya hai? Kya khushi ki apeksha hi kasht ka karan hai? Kya jeevan ka dusra naam kasht hi hai? Dukh manas jeevan ka anivaary hissa hai. Jo vivahit hai woh dukhi hai, jo avivaahit hai woh bhi dukhi hai. Jo prasiddh hai aur jo nahi, dono dukhi hai. Jinke mitra hai aur jinke mitra nahi hai, dono dukhi hai. Lekin yeh aavashyak hai samjhna ke dukh ka karan sabke liye ek hi hai. Aur mastishk se swayam tak pahunchne me kya sahayta pratp hogi. Iss episode mein, janiye panch tarah ke dukh joh humein sata skte hai aur who kadam jo inse bachne ke liye hum le skte hai. Ek khushal jeevan apnaye!
    Más Menos
    15 mins
  • Nirasha, Aur Nahi!

    Nirasha, Aur Nahi!

    Anand Ki Aur, Episode 5
    Sep 18 2020
    Hum sab ne jeevan mein kai baar nirasha ka saamna kiya hai. Yeh bhavanaye kaha se aati hai? Janiye ke hum kis tarah apne icchayo ko pakde reh kar ya apni poornta ki apeksha ke kaaran apne bheetar ek nirasha uttpan karte hai. Sikhiye ke kaise apne icchayo se dur ja kar hum ek paripuran jeevan ki aur badh skte hai. Janiye aap ek niraash vyakti se kaisa vyavhar kar skte hai aur kaise apni nirasha pe kaaboo paa skte hai. Pta lagaiye woh kaunsi parsthitiya hai jin mein manav vyaktitv khil uthta hai. Nirasha ki bhavna ab yahi samapt hogi!
    Más Menos
    18 mins
  • Mukti: Parat Dar Parat

    Mukti: Parat Dar Parat

    Anand Ki Aur, Episode 6
    Sep 18 2020
    Mukti ya nirvaan pa lene ka matlab kya hai? Nirvaan ka kya sambandh hai paripuranta aur santulan se? Ek vyakti kya payega agar woh apne bheetar jayega, parat pe parat cheelne ke baad? Kaise hum mukti pa skte hai apni icchayo se? Suniye Bhagwan Budh ke jeevan se ek kahani. Janiye kyun Bhagwan Budh ne nirvaan praprt krne ke baad ek bhi vachan nahi bola tha satra dino ke liye. Aur, janiye ke insaan kya khoj leta hai nirvaan ki prapti par. Chaliye param stithti ki aur!
    Más Menos
    17 mins
  • Attmasamarpan: Prem ya Vaasna

    Attmasamarpan: Prem ya Vaasna

    Anand Ki Aur, Episode 7
    Sep 18 2020
    Kisi ke samksh, aatmsamarpan karne ka arth kya hai? Kya prem, aadar aur vaasna mein samarpan ek sa hi hai? Suniye bhagwan Krishna aur unki gopio ki katha aur samjhiye wo kyun mantramugdha ho jaati thi? Samjhiye antar prem aur vaasna ke sanket aur anubhavon mein. Pahachaniye ke attmasamarpan ki samajh mein kya antar hai pashcimee aur purbi sabhyata mein. Kya hum swayam ek uchch shakti ko attmasamarpan kr skte hai?
    Más Menos
    19 mins
  • Tanav se Mukti

    Tanav se Mukti

    Anand Ki Aur, Episode 8
    Sep 18 2020
    Tanav kya hai? Tanav aaj khud Bhagwan ka pratiyogi hai. Kya aap jaante hai ke yoga aapki andar ke urja ke star ko badhakar tanav se rahat deta hai? Sikhiye veh takaneek aur tareeke jinse hum aatmavishwas ko barha skte hai aur ek khushal jeevan jee skte hai. Samjhiye kaise aapka karma apki zindagi ko aakar deta hai. Apni drishti ko vyapaak krke apne roz ke tanaav se mukti paye. Sikhiye aur abhyaas kare gehri saas lene ki vidhi ka jo apko behtree shanti ki aur le jayega. Maata pitayo ke liye Gurudev Ji btate hai kaise aap bacho aur vidhyathrio ko sambhal skte hai jo tanaav grast hai. Gurudev Ji teen tareeke btate hai tanav se mukt jeevan jeene ke liye. Chaliye tanav se mukti ki aur!
    Más Menos
    18 mins