Muestra

Escúchalo ahora gratis con tu suscripción a Audible

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras
Disfruta de forma ilimitada de este título y de una colección con 90.000 más.
Escucha cuando y donde quieras, incluso sin conexión
Sin compromiso. Cancela gratis cuando quieras.

Tyoharon Me Twacha Ko Kaise Nikharein

De: Shameem Khan
Narrado por: Pallavi Bharti
Prueba gratis durante 30 días

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras.

  • Resumen

  • Tyoharon ki season chal raha hai aur mausam bhi badal rahi hai. Aise mein twacha ko vishesh dekhbhal ki aavashyakta hai. Tyoharon ke samay har mahila sundar dikhna chahti hai aur aise mein rookhi, bejaan aur daag dhabbe-wali twacha sabse adhik pareshan karti hai. Aise mein mahilayein apne chehre ko chamkane ke liye beauty parlour ke chakkar lagati hai, mehange mehange cosmetics khareedti hai. Agar aap in sabse bachna chahti hai to kayi gharelu upay chamatkar kar sakte hai. Face mask, aloe vera mask, fruit mask, dahi ka mask, kheer ka face mask, kele ka mask, doodh aur shahad ka mask, face scrub, face massage, aadi iske tareeke hai. Santulit aur poshak bhojan karein, isse aapki twacha swasth aur chamkeeli rahegi. Taileey aur masaledar bhojan ka sevan na karein ya kam karein. Drinks aur caffeine ka sevan kam karein kyunki inka adhik matra mein sevan karne se muhaase aur twacha sambandhit anya samasyayein aa jaati hai. Finger chips, burger, pizza aur doosre junk food ke sevan se bachein. Isse aapki twacha dull ho jaati hai. Din mein kam-se-kam teen alag alag rangon ke phal khayein. Phal anti-oxidants se bharpoor hote hai aur twacha ko free radicals se bachate hai. Atyadhik matra mein doodh aur dugdh utpadon ka sevan na karein, isse muhason ki samasya ho sakti hai. Adhik matra mein mithaiyon aur chocolates ka sevan na karein, kyunki inse wazan bhi badhta hai aur twacha bhi dull ho jaati hai. Tyoharon ke samay agar taileey aur masaledar bhojan ke kaaran sabziyon ka intake kam ho jaaye to salad zaroor khayein. Kachchi sabziyan twacha ki chamak banaye rakhti hai.
    ©2014 Prabhat Prakashan (P)2020 Audible Studios
    Más Menos

Lo que los oyentes dicen sobre Tyoharon Me Twacha Ko Kaise Nikharein

Valoración media de los usuarios. Solo los usuarios que hayan escuchado el título pueden escribir reseñas.

Reseñas - Selecciona las pestañas a continuación para cambiar el origen de las reseñas.