Muestra

Escúchalo ahora gratis con tu suscripción a Audible

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras
Disfruta de forma ilimitada de este título y de una colección con 90.000 más.
Escucha cuando y donde quieras, incluso sin conexión
Sin compromiso. Cancela gratis cuando quieras.

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 16

De: Delhi Press
Narrado por: Shashi Chaturvedi
Prueba gratis durante 30 días

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras.

  • Resumen

  • Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain?

    Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.

    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Más Menos
Episodios
  • बेला फिर महकी
    Oct 6 2022
    Jis tarah bela ke phool apni mehek se saare vatavaran ko mehka dete hain, bela ne bhi apne naam ke anuroop apni zindagi mein yahi chaha tha. Magar aise ho nahi saka aur uske apno se hi usse hamesha tiraskar mila aur kisi ne kabhi uski ehmiyat nahi samjhi. Usse lagne laga jaise vo bela nahi balki amarbel ho. Samay ke saath bahu ghar mein aayi jo kaafi ache swabhav ki thi aur bela ka khayal bhi rakhti thi. Magar apni ek rishtedar dwara use samjhaya gaya ki bahu ne use apne ghar ki dekhbhaal ke liye rakha hua hai. Usse lagne laga jaise zindagi bhar sabne use ignore kiya. Lekin usi din sham mein jab uski bahu Reena wapas aayi toh uske birthday ko manane ka intezaam karne lagi. Use nayi saadi uphaar mein di aur pyaar se birthday manaya. Tab Bela ko samajh aaya ki vastav mein uski bahu use kitna maanti hai. Aaj vo amarbel nahi balki Bela hone ka ehsaas karne lagi thi.
    Más Menos
    13 mins
  • बिगड़ी बात बनानी है: भाग-1
    Oct 6 2022
    Tanuja ko jab pata chalta hai ki uski nanad Nandana jo avivahit hai, maa banne wali hai, toh uske hosh udd jate hain. Puchtach karne par Nandana batati hai ki vo apne bhai ke boss Virendra ke kareeb gayi thi aur isliye yeh situation aayi hai. Tanuja bohut pareshan ho gayi kyuki ab Nandana ka abortion bhi nahi ho sakta tha. Uske pati ne bataya ki Virendra isi tarah se ladkiyon se khilvaad karta hai. Tanuja ke sasur bahar gaye hue the do chaar dino mein aane wale the aur usse pehele samasya ka hal karna zaroori tha. Bohot soch vichar karke Tanuja hal nikalti hai ki uske 38 saal ke bada bhai se Nandana ki shaadi kara di jaye. Agle hi din Tanuja Nandana ko lekar Shimla chali gayi aur Rajat ne apne pita ko kuch din aur Mumbai me rehene ko kaha. Sacchai sunke Tanuja ke bhai ne bohot khushi se Nandana ko apni patni ke roop me svekaar kar liya. Iss tarah Tanuja ke prayas se sabke mann ka bhoj utar gaya.
    Más Menos
    14 mins
  • बिन तुम्हारे: क्या था नीपा का फैसला
    Oct 6 2022
    Nipa ki iklauti beti Ruby modern vichaaro ki thi. Woh yeh maanti thi ki zindagi me jo sahi lage waise jee lena chahiye, kyunki baad me pachtaane se accha hai, aaj ko jiyo. Usne aisa hi kiya aur PG me kisi aur ladke ke saath live-in me rehne lagi. Yeh baat jab Nipa ko pata chali tab wo pareshaan ho uthi. Nipa ne Ruby se baat ki to Ruby ne saaf kaha ke agar aap madad karoge to theek hai, aur hum aap se jude rahenge. Warna hum part time job karte hue padhai karenge aur saath jiyenge. Ruby ka faisla sunkar Nipa kuch keh nahi saki kyuki vo Ruby ke bina zindagi ki kalpana bhi nahi kar sakti thi. Isliye uski marzi me hi Nipa ko apni khushi khojni thi.
    Más Menos
    7 mins

Lo que los oyentes dicen sobre Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 16

Valoración media de los usuarios. Solo los usuarios que hayan escuchado el título pueden escribir reseñas.

Reseñas - Selecciona las pestañas a continuación para cambiar el origen de las reseñas.