Episodios

  • Episode 01: Shiv ling par bel patra kyon
    Dec 13 2021
    Ham me se jyadatar log har somyvar ya sawan ke mahinon ke somwar ko shiv mandir jate hain aur wahan bel patra chadhate hain ya bhakton ko chadhate huye dekhte hain. Is episode me ham janenge ki shiv ling par bel patra kyon chadhaya jata hai, iske peeche kya kahaniyan hain aur iska kya mahatv hai.
    Más Menos
    16 mins
  • Episode 02: Shraadh paksh me kauwon ko bhojan kyon
    Dec 13 2021
    Shradh paksh yani vo pandrah din jinme ham apne pooravajon ko yad karte hain, unke samman me kai reeti riwaj nibhate hain, aisa hi ek riwaj hai shradh me kauwon ko bhojan kyon karaya jata hai? Iske peeche ke tamam pahluon ko samjhenge.
    Más Menos
    15 mins
  • Episode 03: Shadi mein haldi ki rasm kyon
    Dec 13 2021
    Shadi kisi ke bhi jeewan me bahut mahatvpoorn din hota hai, is din itni sari reetiyan hoti hain jinke karan ye na sirf shadi ke bandhan me bandhne walon balki ismen shamil dono pariwaron ke sabhi logon ke liye bhi yadgar ban jati hai hain. Is episode me ham shadi se judi haldi ki rasm ke bare men bahut vistar se janenge.
    Más Menos
    15 mins
  • Episode 04: Bharat ke ek ganv me hanuman ji ki pooja kyon nahi
    Dec 13 2021
    Reetiyan kitne sare rang samete hain ye tab pata chalta hai jab ham inke vishal sansar me jhankte hain aur inko samjhne ki koshish karte hain.Is episode me jis reeti ki ham padtal karenge ye bahut anokhi reeti hai, isme hanuman ji se narajgi jatai jati hai, suniye aur janiye ki aisa kyon hota hai.
    Más Menos
    15 mins
  • Episode 05: Rakshabandhan poornima ke din hi kyon
    Dec 13 2021
    Rakshabandhan ek tyohar bhar nahi hai, ye bhai bahan ke aapsi pyar aur samman ka prateek hai. Ye duniya ke sabse pavitra rishte se judi ek reeti ka naam hai. Is episode me ham bahut vistar se is tyohar aur iski reetion ko janenge.
    Más Menos
    15 mins
  • Episode 06: Shadi ke baad stree vamangi kyon
    Dec 13 2021
    Shadishuda stree ko vamangini kaha jata hai, aap jante hain ki is reeti ke peeche kya karan hai? Is shabd ka kya arth hai aur kin kamon me stree apne pati ke bayen taraf baithti hai? Agar aur gahrai se iske bare me janna chahte hain to is episode ko gaur se suniye
    Más Menos
    15 mins
  • Episode 07: Makar sankranti ke din patang kyon udai jati
    Dec 13 2021
    Makar sankranti poore desh bhar me ek jaise harsh aur ullas se manaya jane wala tyohar hai.Is din ki bahut sari reetiyan hain jinme se ek patang udana bhi hai. Is episode me is tyohar aur isse judi reetiyon ko bahut vistar se samjhenge
    Más Menos
    16 mins
  • Episode 08: Ek mandir me Hanuman ji bediyon mein kyon
    Dec 13 2021
    Kuch reetiyan itni anokhi hoti hain ki ekdam se hamara dhyan kheench leti hain, hairan kar deti hain. Aisi hi ye reeti bhi hai jisme Rudrawatar hanuman ji ko bediyon me bandh kar rakha jata hai. Kyon aur kab ye reeti shuru hui ye sab is episode me janenge
    Más Menos
    15 mins