Episodios

  • नहीं बचे आंसू : सुधा ने कैसे उठाया जवानी का फायदा
    May 26 2022
    Sudha ke pati ki mrityu ho gayi thi aur uske do bachche the. Uske bhai ne uski chaprasi ki naukri lagwa di. Office mein uski mulaqat Raju se huyi jo nasha karta tha. Dono ke beech sambandh ban gaye. Kuchh saalon baad Sudha ne sasuraal mein hi apna ghar bana liya. Vah ab wahin rehti thi aur ateet ko bhool chuki thi. Raju use bhula nahin paaya tha, lekin Sudha ne rishte se inkaar kar diya. Pareshaan ho kar Raju ne apni jaan de di.
    Más Menos
    10 mins
  • आगामी अतीत
    May 26 2022
    Bhavna jab 15 saal ki thi, uske mata-pita ka talaq ho gaya tha. Uske pita kisi aur mahila ke liye unhe chhod kar chale gaye the. Iske baad Bhavna ne nishchay kiya tha ki vah kabhi shaadi nahin karegi. Badi ho kar vah doctor bani aur ek din usne hospital mein ek jana-pehchaana chehra dekha. Uske pita wahan bharti the aur unhe lakwa ho gaya tha. Bhavna iss soch mein pad gayi ki kya kabhi uske pita ko lautne ki ichcha huyi hogi, aur kya uski ma unhe maaf kar deti?
    Más Menos
    15 mins
  • उपहार: आनंद ने कैसे बदला फैसला
    May 26 2022
    Kavita aur Rakesh college mein saath padhte the aur ek doosre se prem karne lage the. Lekin Kavita ke pita ne uski shaadi ameer ghar mein tay kar di thi. Kavita ko majboor ho kar Anand se shaadi karni padi. Kayi saal beet chuke the aur ab itihaas khud ko dohra raha tha. Kavita ka beta Rohit Shikha se prem karta tha. Lekin Anand ne uski shaadi ameer ghar ki ladki Gunjan se tay kar di thi. Kya Kavita iss baar kuchh kar payegi?
    Más Menos
    21 mins
  • लाड़ली
    May 26 2022
    Swastika aur uski ma Aradhana ke beech rishta achcha nahin tha. Swastika 10veen ki pareeksha ke liya padhai kar rahi thi. Ek din vah ek tutor ko ghar le aayi jiska naam Satish tha. Uske mama unn dono par nazar rakhte the. Lekin ek din jab vah der se aaye toh dekhe ki dono kaafi kareeb baithe hain. Aradhana ko jab yah baat pata chali toh vah kaafi naraaz huyi. Kuchh dinon baad use cancer ho gaya. Lekin Swastika kya uski dekhbhal karegi?
    Más Menos
    18 mins
  • रिश्तों की परख: भाग
    May 26 2022
    Nigam ji ka tabadla 17 saal pehle Jabalpur mein hua tha. Verma ji unke clerk the. Nigam ji imandaar vyakti the. Sneh aur Kamalkant unn logon ke bachche the. Dono parivaaron mein achcha rishta tha. Kamalkant Sneh ko padhata tha lekin Sneh use kam buddhi ka hi samajhti thi. Kamalkant ki ma ne Sneh ki ma se uska haath maanga. Kya yah rishta tay ho paega? Kya dono khud ko barabar samajhte hain? Ya phir ek doosre se door ho jayenge?
    Más Menos
    27 mins
  • पवित्र पापी
    May 26 2022
    Amrita shaadi ke baad ashram mein rehne aayi thi. Lekin wahan ka baba ek dhongi insaan tha. Ek raat usne Amrita ko apne kamre mein bulaya. Jab vah wahan pohonchi toh usko bistar par gira kar uski gardan par takiya rakh diya. Unhe laga vah behosh ho gayi hai. Lekin achanak vah uthi aur usne unn par hamla kar diya. Raat ke andhere mein Amrita wahan se bhaag gayi. Police bhi aayi aur baba ne keh diya ki vah nahin jaanta kisne uss par hamla kiya tha.
    Más Menos
    13 mins
  • सही पकड़े हैं
    May 26 2022
    Sushila apni beti Aditi ke ghar rehne aayi thi. Ghar ka kaam Ratna karti thi aur Sushila ko hamesha uss par shaq hota. Use lagta ki Ratna ghar ki koi cheez chura na le. Ratna ko bhi iss baat ka ehsaas ho gaya aur usko bura laga lekin vah kuchh keh nahin saki. Kuchh dinon baad malai, mithai, chai, cheeni, achaar gayab hone lage. Sab pareshaan the aur shaq Ratna par hua. Raat ko jab sab so gaye toh Sushila apne kamre se nikli. Kya iske peechhe uska haath tha?
    Más Menos
    27 mins
  • हमारी अमृता
    May 26 2022
    Amar aur Veena ke teen bachche the. Sabse chhoti beti Amrita maansik roop se aswasth thi. Iss baat ko lekar unke beech aksar jhagde hote the. Ek din Amar ne ghar par party rakhi. Veena iss baat se kaafi pareshaan huyi. Vah nahin chaahti thi ki mehmaan uski beti ka mazaak udayein. Uss din Veena jab Amrita ko school chhodne gayi toh pata chala ki vah bohot sundar paintings banati hai. Shaam ko party mein sabne uski paintings dekhi aur bohot himmat badhayi.
    Más Menos
    19 mins