Episodios

  • आया
    May 26 2022
    Tushar ka tabadla Mumbai hua toh vah apni patni Rashmi ko bhi saath le aaya. Unhe ek naukrani Lakshmi mili jo ghar ka saara kaam karti thi aur raat ko chali jaati thi. Rashmi ne ek bete ko janm diya aur Lakshmi uska khayal rakhti thi. Ek din jab Rashmi aur Tushar der se ghar laute toh dekha ki Lakshmi unke bete Golu ke saath gayab hai. Unhone police mein report likhwa di. Par phir pata chala ki Golu ko chot lagi thi aur Lakshmi use hospital le gayi thi. Tushar aur Rashmi apni galti par sharminda huye.
    Más Menos
    14 mins
  • मैं पापी हूं
    May 26 2022
    Yah ek aadmi ki kahani hai jo Agra se nikalne wali ‘Machalti Jawani’ naam ki adult magazine ke liye likhta tha. Ek din patrika ne Sonagachi ilaake ki kuchh tasveerein maangi. Aadmi ne Seema naam ki ladki ko paise diye aur uski tasveerein kheechi. Iske liye vah khud ko paapi kyun maanta hai? Uske bachpan mein chhupa aisa kaunsa raaz tha jo koi nahin jaanta tha? Aur Seema ka ab kya hoga? Kya inn tasveeron ki wajah se uski zindagi badal jaegi?
    Más Menos
    12 mins
  • नया सवेरा-अदिति के जीवन में जो तूफान आया था
    May 26 2022
    Aditi ke pati Vinay ki shaadi ke do saal baad hi mrityu ho gayi thi. Uske do bachche bhi the. Vah apne dukh se ubharne ki koshish kar rahi thi aur uski saheli Bhavna ne uski kaafi madad ki. Ek baar office ki party mein vah apni pasand ke naye kapde pehen kar gayi. Sabhi use dekh rahe the aur ajeeb taane maarne lag gaye. Aditi ko bohot bura laga lekin Bhavna ne sach keh kar sabko chup hone par majboor kar diya.
    Más Menos
    9 mins
  • अजातशत्रु
    May 26 2022
    Kanta akele rehti thi. Uske paas kaafi dhan-sampatti thi aur use yah darr tha ki uska beta usko maar na daale. Usne apni saari sampatti apni beti ke naam kar di thi. Lekin ek din achanak Kanta ki mrityu ho gayi. Beti ne unki diary padhi toh pata chala ki uske bhai ne kuchh din pehle ma ko juice pilaaya tha. Unki bank ke kaagaz aur nakad paise bhi wahan nahin the. Ab beti ko kya apne bhai ke khilaaf report karni chaahiye?
    Más Menos
    17 mins
  • कड़वी गोली : बरामदे का पिछला कोना गंदा देख कर क्यों बड़बड़ा रही थी मीना
    May 26 2022
    Mahesh ka phone na milne par Meena aur uska pati pareshaan the. Pichhle do mahine se Mahesh dhabe ka khana kha raha tha kyunki subah ghar par koi khana nahin bana paata tha. Mahesh ne apne beton ko bohot mehnat se paala tha. Lekin ab vah akela mehsoos kar raha tha. Mahesh jab hospital mein bharti hua toh Meena ne uski bohot sewa ki. Mahesh ko usme apnepan ki bhavna dikhi aur uske chehre par muskaan aa gayi.
    Más Menos
    19 mins
  • मातृत्व का अमृत : भाग 1-2
    May 26 2022
    Vibha ki shaadi Sumit se huyi thi aur vah dono bohot khush the. Ek din bazaar mein bomb blast mein Sumit ki jaan chali gayi. Vibha uss samay garbhawati thi lekin Sumit ki maut ka sadma nahin seh paayi. Uska garbhapaat ho gaya. Iske baad Vibha ke sasuraal-waalon ka uske prati vyavahar badal gaya, vah use hamesha taane dete rehte the. Kya Vibha iss sadme ke baad phir se shaadi ke liye raazi hogi? Kya vah phir se apne jeevan mein khushiyan paa sakegi?
    Más Menos
    18 mins
  • दूसरी मां 1-2-3
    May 26 2022
    Kavita ki ma ki mrityu ho chuki thi. Ab uske pita Neena aunty ke saath doosri shaadi karna chaahte the. Lekin Kavita iske liye raazi nahin thi. Neena aunty ne use samjhaaya ki vah uski ma ki jagah nahin lena chaahti thi lekin vah parivaar ka hissa banna chaahti thi. Kavita ke pita aur Neena ki shaadi ho gayi. Kavita iss baat se kaafi pareshaan thi. Lekin Neena aunty ne har mod par uska saath diya aur use doctor banne ka aatmavishwas dilaaya.
    Más Menos
    26 mins
  • जिंदगी जीने का हक : केशव के मन में उठी थी कैसी ललक
    May 26 2022
    Keshav ki patni ki mrityu ho chuki thi aur vah akele hi ghar ko sambhaalte the. Keshav ne apni poori zindagi apne bachchon ki parvarish mein laga di thi aur ab vah khud ke liye jeena chaahte the. Vah apne bete Abhinav ke liye ladki dekhne lage. Abhinav ki har baat maante the aur uske liye unhone office bhi khola. Kya vah usko apne sapnon ke baare main bata sakenge? Kya unhe apne liye bhi jeene ka samay milega?
    Más Menos
    19 mins