Muestra

Escúchalo ahora gratis con tu suscripción a Audible

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras
Disfruta de forma ilimitada de este título y de una colección con 90.000 más.
Escucha cuando y donde quieras, incluso sin conexión
Sin compromiso. Cancela gratis cuando quieras.

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 15

De: Delhi Press
Narrado por: Prachi Chaube
Prueba gratis durante 30 días

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras.

  • Resumen

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Más Menos
Episodios
  • अम्मां जैसा कोई नहीं
    Aug 4 2022
    Anu ka bachpan kaafi pareshaani ke beech guzra tha. Jab vah chhoti thi tab uski ma ki mrityu ho gayi thi. Ghar chalaane ke liye pita ne ek talaqshuda mahila se vivaah kar liya lekin usne Anu ke saath bura vyavahar kiya. Pita Anu ko uske nana-nani ke ghar chhod aaye. Lekin nani ki bhi mrityu ho gayi. Pita ne zimmedaari se bachne ke liye Anu ki shaadi kar di. Kya vah apne sasuraal mein sukh paa sakegi aur vah usko apna lenge?
    Más Menos
    17 mins
  • अंदाज- रंजना बर्थडे पार्टी को लेकर क्यों परेशान थी?
    Aug 4 2022
    Ranjana ke sasuraal mein uski saas aur nanad hamesha use taane deti rehti thi. Ranjana unki baat se pareshaan ho jaati aur kayi baar rone bhi lagti. Ek din apni marriage anniversary par usne apne office ke doston ko ghar par party ke liye bulaya. Yeh baat sun kar saas ko gussa aa gaya ki Ranjana ne bina ijaazat liye party kaise rakh li. Lekin ab Ranjana bhi darr kar rehna nahin chaahti thi. Vah apni baat kehne ke liye kya kadam uthaegi?
    Más Menos
    16 mins
  • अंधविश्वास की बेड़ियां- पाखंड में अंधी सास को क्या हुआ बहू के दर्द का एहसास?
    Aug 4 2022
    Yeh kahani andhavishwas ke baare mein hai jo aaj bhi hamare samaaj mein ek pareshaani hai. Ek bahu jab shaadi ke paanch saal ke baad bhi garbhawati nahin huyi toh saas ne use ek baba ke paas ilaaj ke liye le jaane ki zidd ki. Bahu jaanti thi ki aise baba ilaaj karne ke bahaane mahilaon ke saath zabardasti shareerik sambandh banane ki koshish mein rehte hain. Vah apne kapdon mein ek chaaku chhupa kar le gayi. Kya vah baba ke jaal se bach sakegi aur apni saas ko sach ka ehsaas dila sakegi?
    Más Menos
    16 mins

Lo que los oyentes dicen sobre Family Drama Stories by Delhi Press, Season 15

Valoración media de los usuarios. Solo los usuarios que hayan escuchado el título pueden escribir reseñas.

Reseñas - Selecciona las pestañas a continuación para cambiar el origen de las reseñas.