Episodios

  • रौंग नंबर ने बदल दी दिशा : आत्महत्या को ले कर बुनी गई एक रोचक कहानी
    Jul 7 2022
    Disha ko uske premi ne dhokha de diya tha. Iss wajah se uski naukri bhi chali gayi thi aur ab use apne jeevan mein koi ummeed nahin dikh rahi thi. Uski kaafi badnaami bhi ho gayi thi. Usne ghar se bahar jaana bhi band kar diya tha. Use jeevan vyarth lagne laga tha. Uske paas neend ki goliyan thi. Goliyon ki poori sheeshi aur paani ka glass saamne tha. Kya Disha apne jeevan ka ant karne ki koshish karegi?
    Más Menos
    17 mins
  • सच्चाई हार गई
    Jul 7 2022
    Kanpur se prakashit ek hindi dainik ke patrakaar Shubhamani Tripathi ko ek veer patrakaar maana jaata tha. Vah kisi se nahin darte the aur hamesha sach likhte the. Magar unki yeh sachchai unhe maut ke kareeb le gayi. Ek din unki hatya ho gayi. Don Divya Awasthi par shaq gaya kyunki uske saare kaarnamon ke baare mein Shubhamani ne akhbaar mein likha tha aur social media par post bhi kiya tha. Kya satya ki jeet hogi ya phir Shubhamani ki maut bhi khabron mein kahin kho jaaegi?
    Más Menos
    20 mins
  • फिर वही अपराध : 10 साल की बच्ची से हैवानियत की इंतहा
    Jul 7 2022
    Azaad aur Raziya apne bachchon ke saath rehte the. Raziya akhbaar ki thaili banaane ka kaam karti thi. Ek din Pappu naam ka ek aadmi wahan aaya aur thailiyan maangi. Raziya ne kaha ki thoda samay lagega. Iss beech uski 10 saal ki bachchi bahar aa gayi aur Pappu use phusla kar apne saath le gaya. Usne bachchi ka balatkaar kiya aur uski hatya kar di. Kya police usko pakad sakegi?
    Más Menos
    10 mins
  • ज्योतिषी के जाल में मौत : रचना के साथ आखिर ऐसा क्या हुआ
    Jul 7 2022
    Rachna 35-40 saal ki talaqshuda mahila thi aur share market ka kaam karti thi. Vah Nitin naam ke ek yuvak se prem karti thi lekin vah uski taraf dhyan nahin deta tha. Rachna aksar ek jyotishi ke paas jaati thi jiska naam tha Krishnakant. Vah uski madad se Nitin ko apne vash mein karna chaahti thi. Jab aisa nahin ho paaya toh usne jyotishi ko dhamki deni shuru kar di. Kaun kiske dabaav mein aaega aur kahin koi haadsa toh nahin ho jaaega?
    Más Menos
    14 mins
  • खूबसूरती पर बदसूरती का वार : सुप्रिया के साथ क्या हुआ
    Jul 7 2022
    Kamlesh school ke dinon se hi Supriya se pyar karta tha. Jab usne Supriya ke saamne apne pyar ka izhaar kiya toh Supriya ne use manaa kar diya. Supriya ko lagta tha ki Kamlesh dekhne mein bohot sadharan hai jab ki vah kaafi sundar thi. Kamlesh pichhle saat saalon se Supriya se prem karta tha. Jab usne yeh baat suni toh uska dil toot gaya aur usne kalaai kaat kar apni jaan lene ki koshish ki. Kya vah bach sakega?
    Más Menos
    13 mins
  • एक मुलाकात- अंधविश्वास के मकड़जाल में फंसी सपना के साथ क्या हुआ?
    Jul 7 2022
    Ek aadmi ko Sapna naam ki ladki se pyar ho gaya tha. Uske ghar waale bhi ladke ko pasand karte the lekin unko dharm aur jaati ki bohot parvaah thi. Ek din Sapna bohot dukhi ho kar ladke ke paas aayi aur bataaya ki uske parivaar ne uski shaadi tay kar di thi. Unhe pata chal gaya tha ki ladka anaath hai aur vah apni beti ki shaadi uske saath nahin karwaana chaahte the. Kya dono premi ek ho sakenge?
    Más Menos
    14 mins
  • कुदरत को चुनौती
    Jul 7 2022
    Jasbir aur Daljeet bachpan se pakki saheliyan thi aur jab vah badi huyi toh unki dosti pyar mein badal gayi. Unke samlaingik rishte se unke parivaar pareshaan the aur panchayat bhi baithi. Aakhir unhone ek saath rehne ke liye nishchay kiya ki Jasbir operation karwa ke ek purush ban jaaegi aur vah shaadi kar lenge. Shaadi ke baad unka ek bachcha bhi hua. Lekin ek din kisi ne unn par hamla kar diya. Iske peechhe sach kya tha? Kya Daljeet kuchh chhupa rahi thi?
    Más Menos
    16 mins
  • ले डूबी दबंगई
    Jul 7 2022
    Ranjeet Kumar Srivatava bachpan se hi kuchh bada karna chaahta tha. Gorakhpur mein usne ek nukkad natak samuuh banaaya aur vah log jagah-jagah natak dikhaane lage. Iss beech uski mulaqat Kalindi Sharma se huyi jo uska natak dekh kar kaafi prabhaavit thi. Dono ne Bharat bhraman ki yojna banaayi, aur kuchh samay baad shaadi kar li. Ranjeet ne phir raajniti mein kadam rakhne ki baat sochi. Kya vah apne kaam mein safal ho sakega? Kalindi ka sapna kya tha?
    Más Menos
    25 mins