Muestra

Escúchalo ahora gratis con tu suscripción a Audible

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras
Disfruta de forma ilimitada de este título y de una colección con 90.000 más.
Escucha cuando y donde quieras, incluso sin conexión
Sin compromiso. Cancela gratis cuando quieras.

CHRONICLES OF INDIA

De: Hoop Entertainment
Prueba gratis durante 30 días

Después de los 30 días, 9,99 €/mes. Cancela cuando quieras.

  • Resumen

  • Hoop Entertainment prastut karte hain CHRONICLES OF INDIA, ek Audible Exclusive peshkash SHOW SUMMARY Chronicles of India audio series yaadgar banaata hai bharat ke swarnim itihaas ke bhule bisare panno ko jinki wazah se ye sadiyon purana safar aaz is mukaam par pahuncha hai.... Bharat yun hi nahin bana aur naa hi India yun ban gaya..... Waqt ki kasauti pe ghis ghiskar is desh ne vishwa ko saabit karke dikhaya ki hum mein kuch to baat hai jo sadiyon ki ghulami ki zanzeeron ko todate huye, toofani hawaon ke rukh ko modte huye aaz garv aur samman ke saath vishw ke rangmanch ka pratinidhitv kar rahe hain.... Chaahe wo sikandar ka aakrman raha ho,...chaahe wo Mohammad Gauri ki chunauti rahi ho,.... Chaahe wo mughlon ki zulmi hukumat rahi ho ya chaahe Aurangzeb jaise sanki baadhsaah ki saltanat rahi ho ..... Ya phir angrezon ki zabardasti thopi gayi kaayarta aur barbarta se bhari manmaani rahi ho... Bhartiya asmita aur uski amit sankriti aur apratim sabhyata ne hamesha apne aapko siddh Kiya hai... jo mashhoor shaayar Iqbaal ki kuchh panktiyon ke maadhyam se kaha jaaye to baat mukammal ho jaaye. सारे जहाँ से अच्छा, हिन्दोस्ताँ हमारा। हम बुलबुलें हैं इसकी, यह गुलिसताँ हमारा।। कुछ बात है कि हस्ती, मिटती नहीं हमारी। सदियों रहा है दुश्मन, दौर-ए-ज़माँ हमारा।। यूनान-ओ-मिस्र-ओ-रूमा, सब मिट गए जहाँ से। अब तक मगर है बाक़ी, नाम-ओ-निशाँ हमारा।। DISCLAIMER Is audio series ka nirman aur lekhan gehan addhyan aur anusandhaan ke pashchaat kiya gaya hai. Hamara lakshya sanatan dharm ke Pauranik gathaon ko ek katha sandarbh dekar vartman aur aane wali pidhiyon ko shikshit karna hai. Ismein koi bhi hui ya aayi trutiyon ke liye hum kshama prarthi hain. Pauranik itihaas ki ye amar gaathayein Maha Puraan se uddhrit hain, manoranjan aur gyaanvardhan ke liye inka naatya rupaantaran kiya gaya hai. Dhanyawad Production House Hoop Entertainment Writer & Director Rajnish Rao & Vivek Rao Producer Nikhil Mirchandani & Preeti Mirchandani Creative Consultant Roma Dutia Executive Producer Aishwarya Shukla Director's Assistant Laxmikant Mishra Post Production Head Rajnish Rao Music & Bgm Sumit Jadhav Sound designing by Amit Trivedi Final Mixing by Hemant Khedekar Dubbing Studio Weather Films Studio Cast Priyanka Pathak Girish Thapar Rajdeep Sickder Anuj Bhardwaj Manish Bhandari Taksh Narang Charu Khabde Krishn Gopal Rahul Raina Abhijeet Shukla
    ©2022 Hoop Entertainment PVT LTD (P)2022 Hoop Entertainment PVT LTD
    Más Menos
Episodios
  • Episode 1: Sikandar Aur Puru
    Nov 15 2022
    Sikandar ne Bharatvarsh aane ke liye 327 BC mein apni badi sena ke sath taiyari ki. Sikandar ke hamle se bachne aur raja Puru se dushmani ke karan Takshshila ke raja Ambhi ne aatm samarpan kar diya. Phir Sikandar ka yuddh Puru vansh ke raja Puru se Jhelam nadi ke kinare hua. Raja Puru se yudh mein Sikandar ki sena ko badi haani pahunchi thi. Sikandar ko apni sena ke vidroh ke chalte vapas lautna pada.
    Más Menos
    21 mins
  • Episode 2: Maurya Saamrajya
    Nov 15 2022
    321 B. C. Chandra Gupta Maurya ne Guru Chanakya ki madad se ek badi sena banayi aur uss sena ke bal pe Dhananand ke samrajya ko chunauti di aur use parajit karke Maurya Rajvansh ki sthapana ki. 305 B.C. purv jab Selucas Niketar ne Sikandar ki mrityu ke baad, Bharat par chadai ki to unka yuddh Chandra Gupta Maurya se hua. Jisme Selucas ki haar hui. Yuddha sandhi mein Maurya Rajvansh ko kai prant mile. Selucas ne apni putri Helen ka vivah Chandra Gupta se karwaya.
    Más Menos
    19 mins
  • Episode 3: Kaling Yuddh
    Nov 15 2022
    261 B.C. mein ek baar Samrat Ashok Kalinga vijay ke sapne ko sakar karne aur apna vyaparik kshetra badhane ke liye Kalinga rajya ko aatm samarpan karne ka Sandesh bhejte hain. Parantu kalinga rajya unke saamne jhukne se inkar kar deta hai jiske parinaam swaroop Kaling raja Padmanabha se yuddh hota hai. Uss yuddh ke baad samraat Ashok ka hriday parivartan ho jata hai.
    Más Menos
    18 mins

Lo que los oyentes dicen sobre CHRONICLES OF INDIA

Valoración media de los usuarios. Solo los usuarios que hayan escuchado el título pueden escribir reseñas.

Reseñas - Selecciona las pestañas a continuación para cambiar el origen de las reseñas.